Arijit Singh
Yo Yo Honey Singh
Amitabh Bhattacharya
Breathless Lyrics - Shankar Mahadevan

Collection Shankar Mahadevan

Breathless Lyrics

 Sayandweep   224


Breathless lyrics (Primary language)
Breathless lyrics in English

Koyi Jo Mila Toh

Mujhe Aisa Lagta Tha

Jaise Meri Saari Duniya Mein

 

Geeton Ki Rut Aur

Rangon Ki Barkha Hai

Khushbu Ki Aandhi Hai

 

Mehki Hui Si Ab Saari Fizayein Hain

Behki Hui Si Ab Saari Hawayein Hain

Khoyi Hui Si Ab Saari Dishayein Hain

Badli Hui Si Ab Saari Adayein Hain

 

Jagi Umangein Hain

Dhadak Raha Hai Dil

Saanson Mein Toofaan Hai

 

Honthon Pe Nagmein Hain

Aankhon Mein Sapne Hain

Sapnon Mein Beete Hue

Saare Woh Lamhein Hain

 

Jab Koyi Aaya Tha

Nazron Pe Chhaya Tha

Dil Mein Samaya Tha

Kaise Main Bataun Tumhein

Kaisa Use Paya Tha

 

Pyare Se Chehre Pe

Bikhri Jo Zulfein

Toh Aisa Lagta Tha

Jaise Bhawre Ke Pichhe

 

Ek Os Mein Dhula Hua

Phool Khila Hai

Jaise Baadal Mein

Ek Chand Chhupa Hai

 

Aur Jhaank Raha Hai

Jaise Raat Ke Parde Mein

 

Ek Savera Hai Roshan Roshan

Aankhon Mein Sapnon Ka Sagar

Jismein Prem Sitaaron Ki Chadar Jaise

Jhalak Rahi Hai Lehron Lehron

Baat Kare Woh Jaise Moti Barse

 

Jaise Kahin Chandi Ki Payal Goonjein

Jaise Kahin Sheeshe Ke Jaam Gire

Aur Chhan Se Toote

 

Jaise Koyi Chhip Ke Sitaar Bajaye

Jaise Koyi Chandani Raat Mein Gaaye

Jaise Koyi Haule Se Paas Bulaye

 

Kaisi Mithi Baatein Thi Woh

Kaisi Mulakaatein Thi Woh

Jab Maine Jaana Tha

Nazron Se Kaise Pighalte Hain Dil

 

Aur Aarzu Pati Hai Kaise Manzil

Aur Kaise Utarta Hai Chand Zameen Par

Kaise Kabhi Lagta Hai Swarg Agar Hai

Toh Bas Hai Yahin Par

 

Usne Banaya Mujhe

Aur Samjhaya Mujhe

Hum Jo Mile Hai

Humein Aise Hi Milna Tha

 

Gul Jo Khile Hai

Unhein Aise Hi Khilna Tha

Janmon Ke Bandhan

Janmon Ke Rishte Hain

 

Jab Bhi Hum Janme Toh

Hum Yoon Hi Milte Hain

Kaanon Mein Mere Jaise

Shahad Se Ghulne Lage

 

Khwaabon Ke Par Jaise

Aankhon Mein Ghulne Lage

Khwaabon Ki Duniya Bhi

Kitni Haseen Aur Kaisi Rangeen Thi

 

Khwaabon Ki Duniya Jo Kehne Ko Thi

Par Kahi Bhi Nahi Thi

Khwaab Jo Toote Mere

Aankh Jo Khuli Meri

 

Hosh Jo Aaya Mujhe

Maine Dekha Maine Jaana

Woh Jo Kabhi Aaya Tha

Nazron Pe Chhaya Tha

 

Dil Mein Samaya Tha

Ja Bhi Chuka Hai

Aur Dil Mera Hai

Ab Tanha Tanha

 

Na Toh Koyi Armaan Hai

Na Koyi Tamanna Hai

Aur Na Koyi Sapna Hai

Ab Jo Mere Din Aur

Ab Jo Meri Raatein Hain

 

Unmein Sirf Aansu Hain

Unmein Sirf Dard Ki

Ranj Ki Baate Hain

Aur Fariyadein Hain

 

Mera Ab Koyi Nahi

Main Hoon Aur Khoye Hue

Pyar Ki Yaadein Hain

 

Main Hoon Aur Khoye Hue

Pyar Ki Yaadein Hain

Main Hoon Aur Khoye Hue

Pyar Ki Yaadein Hain