Arijit Singh
Yo Yo Honey Singh
Amitabh Bhattacharya
EKTARFA Lyrics - King

Collection King

EKTARFA Lyrics

 Sayandweep   203


EKTARFA lyrics (Primary language)
EKTARFA lyrics in English

Tu Phir Se Paas Aa

Main Zid Nahi Karunga

Tu Phir Se Door Ja

Main Kuchh Nahi Kahunga

 

Jo Tere Jaane Se Main

Baitha Hu Mehkhane Mein

Main Khaa Chuka Hun Dhoka

Peene Se Nahi Marunga

 

Jo Tujhse Seekha Hoon

Tujhi Pe Toh Likhunga

Jo Tujhko Chahunga

Tujhi Pe Toh Mitunga

 

Jo Hass Ke Aunga

Main Phir Se Tere Saamne

Hoon Napasand Bata Diyo

Main Phir Nahi Dikhunga

 

Maine Dekha Tujhme Sadgi Rahi Nahi

Maine Dekha Tune Koshishein Bahut Kari

Kehe Jo Tujhko Apne Hathon Se Saja Doon

Hai Kami Tu Pehne Bahut

phir Bhi Lagta Kyu Saji Nahi

 

Aaj Bhi Aise Dekhe Maine Dayere Nahi

Ke Tujhse Baant Loon

Main Khud Ko Keh Doon Aa Rahe

Nahi Hai Tumse Milne

Bewafa Hi The Jo Hass Ke Keh Diya

Ke Hum Bhi Dhokhe Kha Rahe Nahi

 

Jo Phir Se Dekha

Meri Rukh Chali Kalam Thi

Dil Dhadakta Aankhein Bheegi

Baatein Tang Thi

 

Jo Tujhko Socha

Mera Poora Ek Janam Thi

Jab Tujhko Dekha

Kisi Aur Ki Sanam Thi

 

Dil Toh Dukhta Hai

Par Jeena Padhta Hi Hai

Sooraj Se Chaand Bhi

Akele Ladta Hi Hai

 

Main Kitna Bhoolun

Kissa Tera Adta Hi Hai

Jo Karde Faasla

To Pyaar Badta Hi Hai

 

Gaane To Chal Rahe

Par Baat Teri Meri Hai

Chirag Bujh Gaye

Par Raatein Teri Meri Hai

 

Hua Wo Ek Na

Jo Saat Janam Ka Vaada Tha

To Iss Sadi Main Jaana

Kya Aukat Teri Meri Hai

 

Maana Main Sab Hi Kuchh Jeeta

Kuch Bhi Haara Na

Par Jisko Haara Usko

Dekha Phir Dobara Na

 

Jo Dhas Gaya Hu Jaake Rait Mein

Main Aankhon Tak

Tu Hai Samundar Mujhpe

Boond Ka Sahara Na

 

Na Mujhse Poochh

Mere Haal Kya Sitaaron Ka

Na Dum Tu Kha Yeh Aake

Noto Ki Deewaron Ka

 

Hai Paisa Kya Tu

Chhoti Baatein Na Kiya Kar

Main Bas Pyar Se Gareeb

Mujhko Mol Na Hazaron Ka

 

Jo Mujhse Poochh Le

Tu Rasta Baharon Ka

To Hass Ke Keh Doon

Tu Nazara Meri Aankhon Ka

 

Main Jisko Kosne Chala Hoon

Uska Naam Yaad

Phir Bhi Likh Na Pana

Dosh Kaam Hai Gawaron Ka

 

Jo Tujhko Dekha

Aasman Mein Chaand Tha Nai

Kahin Pe Chhup Gaya

Ke Kehta Lagta Nahi

 

Is’se Haseen Maine Dekha

Kahin Kuchh Ke Log

Yun Hi Likhte Rehte Mujhpe

Aye Khuda Main Chaand Nahi

 

Yeh Tere Reshmi

Jo Baal Jaal Sazi Hain

Mara Nahi Par

Jeete Ji Tu Meri Faasi Hai

 

Daba Nahi Gala

Kyun Sanse Meri Ghut Rahi,

Main Kya Hi Doon Saza

Ja Teri Har Saza Hi Maafi Hai

 

Mujhe Khabar Nahi

Tu Kis Zubaan Mein Raazi Hai

Dikhe Asar Nahi

Tu Kis Dua Mein Baaki Hai

 

Agar Kabhi Main

Tere Saamne Se Guzrun

Mujhko Mil Tu Ya Nahi

Par Teri Ek Nazar Hi Kaafi Hai

 

Ektarfa Main Naam Bhi Bana Lunga

Ek Tarfa Mein Naam Bhi Chhupa Lunga

Ek Arsa Jo Beete Teri Yaadon Mein

Main Hoke Mashhoor

Tujhpe Zindagi Loota Doonga